🤍 Mera Wada 🤍

Main Badalna Chahta Hun...

Main Allah ko hazir nazir jaan kar wada karta hun... Ab main woh Muhammad Ahmad nahi rehna chahta jis ki wajah se aap ko takleef hui. Main controlling nahi rahunga. Main toxic nahi rahunga. Main aap ki respect hamesha karunga. Main aap ki baat ko beech mein kaat kar apni baat sabit karne ki koshish nahi karunga. Main idhar udhar ki baaton par yaqeen nahi karunga. Main trust ko protect karunga... Na ke usay damage. Main gusse se pehle aap ki feelings ko samajhne ki koshish karunga. Main sirf words se nahi... Apni actions se prove karna chahta hun ke main waqai badal gaya hun. Aur agar kabhi mujh se dobara ghalti ho... To main usay maanunga... Na ke usay justify karunga. Ye mera wada hai. Sirf aap se nahi... Allah se bhi. ❤️